08 December 2011

Ek Phool...


ek phool gira tha aangan mein...
aangan ko kosa kartein hain...
gir hi pada,wo tha pyar mera...
is gam ko dhoya kartein hain...
par yaad na aayi usko meri,ye baat satati hai mujhko...
jismein jeevan maan liya usne tha,kaise usko hi bhula diya???
kya oos jeevan ki yaad mein,wo bhi tarsa karti hai???
mujhko to hai tees badi,uske khone ka ehsaas bada...
kya usko bhi mujhko khone ka,koi dard sunai deta hai???
uski khushiyon ka wo sukh na raha,uske dardon ki rut bhi gai...
kya usko bhi mere sukh-dukh ka wo maun sunai deta hai???
uske hasne ki hai yaad badi,uske rone ka hai dard bada...
kya usko bhi meri susrahat ka wo lafz sunai deta hai???
us phool ke girne ki aandhi ab bhi shor machati hai kaanon mein,
kya usko bhi iske girne ka koi shor sunai deta hai??
uske khush rehne ki hai aas badi,uski khushiyon ka hoga harsh bada,
kya usko bhi meri khushiyon ki koi dua sunai deti hai...
ek phool gira tha aangan mein...
aaj bhi na jaane kyun...aangan ko hi kosa kartein hain...

No comments:

Blogger templates

Pages

 
;